waqt ki raftar ko parkha karo
vaqt kī raftār ko parkhā karo
band har jhagḌe kā darvāza karo
muñh se niklī baat kī hogī pakaḌ
aage pīchhe soch kar bolā karo
sirf ġhairoñ kī zabāneñ siikh kar
mashvara hai ḳhud ko mat gūñgā karo
ahd puurā hī nahīñ karnā hai jab
zindagī bhar va.ada-e-fardā karo
tum agar nāzāñ ho apne aap par
vaqt-e-fursat aa.ina dekhā karo
shahr kī āḳhir ye hālat kab talak
ahl-e-darbhanga zarā sochā karo
har taraf 'anjum' na.e mazmūn kī
Dher sī haiñ titliyāñ pakḌā karo
waqt ki raftar ko parkha karo
band har jhagDe ka darwaza karo
munh se nikli baat ki hogi pakaD
aage pichhe soch kar bola karo
sirf ghairon ki zabanen sikh kar
mashwara hai KHud ko mat gunga karo
ahd pura hi nahin karna hai jab
zindagi bhar wada-e-farda karo
tum agar nazan ho apne aap par
waqt-e-fursat aaina dekha karo
shahr ki aaKHir ye haalat kab talak
ahl-e-darbhanga zara socha karo
har taraf 'anjum' nae mazmun ki
Dher si hain titliyan pakDa karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.