waqt ko KHushnuma banate hain
vaqt ko ḳhushnumā banāte haiñ
aa.iye qahqaha banāte haiñ
us ne sab kuchh banā ke bhejā hai
ham yahāñ kyā nayā banāte haiñ
chal ḳhalāoñ meñ ghūmte haiñ kahīñ
chāñd par naqsh-e-pā banāte haiñ
dekhnā hai na.e ye kūza-gar
merī miTTī kā kyā banāte haiñ
maiñ charāġhoñ meñ lau banātā huuñ
duniyā vaale havā banāte haiñ
waqt ko KHushnuma banate hain
aaiye qahqaha banate hain
us ne sab kuchh bana ke bheja hai
hum yahan kya naya banate hain
chal KHalaon mein ghumte hain kahin
chand par naqsh-e-pa banate hain
dekhna hai nae ye kuza-gar
meri miTTi ka kya banate hain
main charaghon mein lau banata hun
duniya wale hawa banate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.