waqt kya kya mojize dikhlaega
vaqt kyā kyā mo'jize dikhlā.egā
tū bhī ik din ajnabī ho jā.egā
jāmunī hoñToñ pe phailā hai fareb
dekhne vaalā to dhoka khā.egā
ik bahādur jang-jū sote hue
sāzishī ḳhanjar se maarā jā.egā
ik sadā toḌegī lahroñ kā sukūt
'aks paanī meñ koī tharrā.egā
mutma.in huuñ maiñ tū jā saktā hai dost
dil to dil hai dil to phir ghabrā.egā
waqt kya kya mo'jize dikhlaega
tu bhi ek din ajnabi ho jaega
jamuni honTon pe phaila hai fareb
dekhne wala to dhoka khaega
ek bahadur jang-ju sote hue
sazishi KHanjar se mara jaega
ek sada toDegi lahron ka sukut
'aks pani mein koi tharraega
mutmain hun main tu ja sakta hai dost
dil to dil hai dil to phir ghabraega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.