waqt rakhta hai jo sambhaal ke log
vaqt rakhtā hai jo sambhāl ke log
DhūñD kar lā vahī kamāl ke log
tū ne dekhā junūñ ke mele meñ
kitne shaidā.ī the dhamāl ke log
kaash mar jaa.e tū uruuj meñ hī
muntazir haiñ tire zavāl ke log
mar ga.e aap ghup añdhere meñ
chāñd terī taraf uchhāl ke log
yaad kī ḳhushk jhiil meñ aksar
baiThe rahte haiñ paañv Daal ke log
tere dukh meñ sharīk hone ko
ḳhud ko laa.e haiñ ġham meñ Dhaal ke log
mubtalā-e-hazār-ġham huuñ magar
hañs ke milte haiñ ḳhānevāl ke log
waqt rakhta hai jo sambhaal ke log
DhunD kar la wahi kamal ke log
tu ne dekha junun ke mele mein
kitne shaidai the dhamal ke log
kash mar jae tu uruj mein hi
muntazir hain tere zawal ke log
mar gae aap ghup andhere mein
chand teri taraf uchhaal ke log
yaad ki KHushk jhil mein aksar
baiThe rahte hain panw Dal ke log
tere dukh mein sharik hone ko
KHud ko lae hain gham mein Dhaal ke log
mubtala-e-hazar-gham hun magar
hans ke milte hain KHanewal ke log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.