waqt se din aur raat waqt se kal aur aaj
vaqt se din aur raat vaqt se kal aur aaj
vaqt kī har shai ġhulām vaqt kā har shai pe raaj
vaqt kī pāband haiñ aatī jaatī raunaqeñ
vaqt hai phūloñ kī sej vaqt hai kāñToñ kā taaj
aadmī ko chāhiye vaqt se Dar kar rahe
kaun jaane kis ghaḌī vaqt kā badle mizāj
waqt se din aur raat waqt se kal aur aaj
waqt ki har shai ghulam waqt ka har shai pe raj
waqt ki paband hain aati jati raunaqen
waqt hai phulon ki sej waqt hai kanTon ka taj
aadmi ko chahiye waqt se Dar kar rahe
kaun jaane kis ghaDi waqt ka badle mizaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.