waqt se lamha lamha kheli hai
vaqt se lamha lamha khelī hai
zindagī ik ajab pahelī hai
aaj mausam bhī kuchh udaas milā
aaj tanhā.ī bhī akelī hai
us kī yādeñ bhī bevafā niklīñ
sirf tanhā.ī ab sahelī hai
us kī yādoñ ne phir se dastak dī
ḳhuub mausam ne chaal khelī hai
jiine marne ke darmiyāñ 'mītā'
ruuh ne jaise qaid jhelī hai
waqt se lamha lamha kheli hai
zindagi ek ajab paheli hai
aaj mausam bhi kuchh udas mila
aaj tanhai bhi akeli hai
us ki yaaden bhi bewafa niklin
sirf tanhai ab saheli hai
us ki yaadon ne phir se dastak di
KHub mausam ne chaal kheli hai
jine marne ke darmiyan 'mita'
ruh ne jaise qaid jheli hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.