wara-e-lutf koi ibtila nikalna tha
varā-e-lutf koī ibtilā nikalnā thā
ye silsila bhī bahut duur jā nikalnā thā
abhī qubūl na thiiñ ye ināyateñ ham ko
abhī diloñ se ġham-e-mudda.ā nikalnā thā
sivā.e ḳhastagī kuchh pesh-e-kāsa-e-zar-ḳhvāh
hamāre kīsa-e-ḳhālī se kyā nikalnā thā
safar to ek sitāra-ġhamīñ thā varna hameñ
kisī savād-e-masarrat meñ jā nikalnā thā
ajiib manzil-e-bechārgī thī manzil-e-jāñ
yahīñ se jāda-e-bīm-o-rajā nikalnā thā
jabīñ pe naqsh-e-ḳhudā.ī ubharte jaate the
diloñ se yuuñ to na ḳhauf-e-ḳhudā nikalnā thā
wara-e-lutf koi ibtila nikalna tha
ye silsila bhi bahut dur ja nikalna tha
abhi qubul na thin ye inayaten hum ko
abhi dilon se gham-e-muddaa nikalna tha
siwae KHastagi kuchh pesh-e-kasa-e-zar-KHwah
hamare kisa-e-KHali se kya nikalna tha
safar to ek sitara-ghamin tha warna hamein
kisi sawad-e-masarrat mein ja nikalna tha
ajib manzil-e-bechaargi thi manzil-e-jaan
yahin se jada-e-bim-o-raja nikalna tha
jabin pe naqsh-e-KHudai ubharte jate the
dilon se yun to na KHauf-e-KHuda nikalna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.