waraq waraq se naya ek jawab mangun main
varaq varaq se nayā ik javāb māñgūñ maiñ
ḳhud apnī zaat pe likkhī kitāb māñgūñ maiñ
ye ḳhud-navisht to mujh ko adhūrī lagtī hai
jo ho sake to nayā intisāb māñgūñ maiñ
ham apne shauq se aa.e na apnī tarz jiye
is imtihāñ meñ nayā ik nisāb māñgūñ maiñ
vo haq kī pyaas thī dariyā to bas bahāna thā
lab-e-furāt pe kis se javāb māñgūñ maiñ
bas ek larza mere jism-o-jāñ pe hotā hai
shu.ūr-e-zāt se jab ehtisāb māñgūñ maiñ
tire hisāb meñ haiñ ḳhush-gumāniyāñ ab bhī
tire bahāne nayā ik azaab māñgūñ maiñ
waraq waraq se naya ek jawab mangun main
KHud apni zat pe likkhi kitab mangun main
ye KHud-nawisht to mujh ko adhuri lagti hai
jo ho sake to naya intisab mangun main
hum apne shauq se aae na apni tarz jiye
is imtihan mein naya ek nisab mangun main
wo haq ki pyas thi dariya to bas bahana tha
lab-e-furaat pe kis se jawab mangun main
bas ek larza mere jism-o-jaan pe hota hai
shuur-e-zat se jab ehtisab mangun main
tere hisab mein hain KHush-gumaniyan ab bhi
tere bahane naya ek azab mangun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.