wasl ki aaKHiri manzil hai fana ho jaana
wasl ki aaKHiri manzil hai fana ho jaana
Chandrashekhar Pandey Shams
MORE BYChandrashekhar Pandey Shams
vasl kī āḳhirī manzil hai fanā ho jaanā
tujh se mil kar tire bande kā ḳhudā ho jaanā
sham.a se mil ke zarā dekh to parvāne kā rang
kitnā mushkil hai koī farq zarā ho jaanā
ham to parchhā.ī haiñ bas ishq kī ai teġh-e-vaqt
ham ko kaaTe se bhalā ishq kā kyā ho jaanā
zindagī ko to samajhte haiñ ham ik chaal terī
maut hai is kā javāb us pe fidā ho jaanā
mushtarī zohra zuhal shams-o-hilāl-o-mirrīḳh
tere kūche ko hai yuuñ rāh-e-vafā ho jaanā
wasl ki aaKHiri manzil hai fana ho jaana
tujh se mil kar tere bande ka KHuda ho jaana
shama se mil ke zara dekh to parwane ka rang
kitna mushkil hai koi farq zara ho jaana
hum to parchhai hain bas ishq ki ai tegh-e-waqt
hum ko kaTe se bhala ishq ka kya ho jaana
zindagi ko to samajhte hain hum ek chaal teri
maut hai is ka jawab us pe fida ho jaana
mushtari zohra zuhal shams-o-hilal-o-mirriKH
tere kuche ko hai yun rah-e-wafa ho jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.