wasl kiya hai sham jala kar
vasl kiyā hai sham' jalā kar
parvāne ko raakh banā kar
kabhī talab na paañv sameTe
chhoTī paḌ jaa.e har chādar
vo kyā chain se soyā hogā
merī niiñd ko pankh lagā kar
maiñ to sab kuchh bhuul chukā huuñ
tū bhūle to baat barābar
dīvāroñ kī tanhā.ī ko
duur karūñ tasvīr lagā kar
wasl kiya hai sham' jala kar
parwane ko rakh bana kar
kabhi talab na panw sameTe
chhoTi paD jae har chadar
wo kya chain se soya hoga
meri nind ko pankh laga kar
main to sab kuchh bhul chuka hun
tu bhule to baat barabar
diwaron ki tanhai ko
dur karun taswir laga kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.