wasl kya shai hai aur furqat kya
vasl kyā shai hai aur furqat kyā
tum ko ma.alūm hai mohabbat kyā
merī āñkhoñ ne tum ko dekh liyā
ab hai bīnā.ī kī zarūrat kyā
ab use ghar kī yaad aa.ī hai
Dah ga.ī ishq kī imārat kyā
vasl se duur ho gayā bhauñrā
phuul se uḌ ga.ī hai nik.hat kyā
kitne bezār ho ga.e ho tum
ishq meñ ho ga.ī thī ujlat kyā
kitnī raunaq hai bazm-e-furqat meñ
hai 'aman' aap kī sadārat kyā
wasl kya shai hai aur furqat kya
tum ko malum hai mohabbat kya
meri aankhon ne tum ko dekh liya
ab hai binai ki zarurat kya
ab use ghar ki yaad aai hai
Dah gai ishq ki imarat kya
wasl se dur ho gaya bhaunra
phul se uD gai hai nikhat kya
kitne bezar ho gae ho tum
ishq mein ho gai thi ujlat kya
kitni raunaq hai bazm-e-furqat mein
hai 'aman' aap ki sadarat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.