wasl se aur hijr se hai tang
vasl se aur hijr se hai tang
dil ne sīkhe haiñ kuchh ajiib hī Dhang
ab na zanjīr hai na zindāñ hai
ab na dīvār hai na haath meñ sang
ab na dil meñ vo yāsmīñ-rū hai
ab na āñkhoñ meñ vo mahakte rang
ab na vo ishq meñ kashākash hai
ab na vo zindagī meñ hai āhang
jīt.tā jā rahā huuñ ishq kā khel
hārtā jā rahā huuñ ziist kī jang
chupke se terā ġham chalā aayā
ho rahā thā maiñ kā.enāt pe dañg
sher kahnā hai zindagī karnā
aur donoñ haiñ mujh ko bā.is-e-nang
wasl se aur hijr se hai tang
dil ne sikhe hain kuchh ajib hi Dhang
ab na zanjir hai na zindan hai
ab na diwar hai na hath mein sang
ab na dil mein wo yasmin-ru hai
ab na aankhon mein wo mahakte rang
ab na wo ishq mein kashakash hai
ab na wo zindagi mein hai aahang
jitta ja raha hun ishq ka khel
haarta ja raha hun zist ki jang
chupke se tera gham chala aaya
ho raha tha main kaenat pe dang
sher kahna hai zindagi karna
aur donon hain mujh ko bais-e-nang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.