Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waswase dil mein na rakh KHauf-e-rasan le ke na chal

Abrar Kiratpuri

waswase dil mein na rakh KHauf-e-rasan le ke na chal

Abrar Kiratpuri

MORE BYAbrar Kiratpuri

    vasvase dil meñ na rakh ḳhauf-e-rasan le ke na chal

    azm-e-manzil hai to ham-rāh thakan le ke na chal

    rāh-e-manzil meñ bahr-e-hāl tabassum farmā

    har qadam dukh sahī māthe pe shikan le ke na chal

    nuur nuur se vābasta agar rahnā hai

    sar pe sūraj ko uThā sirf kiran le ke na chal

    pahle faulād banā jism ko apne ai dost

    bārish-e-sañg meñ shīsha badan le ke na chal

    aas insāf munsif se nahīñ hai to na rakh

    nā-umīdī magar dil meñ chubhan le ke na chal

    waswase dil mein na rakh KHauf-e-rasan le ke na chal

    azm-e-manzil hai to ham-rah thakan le ke na chal

    rah-e-manzil mein bahr-e-haal tabassum farma

    har qadam dukh sahi mathe pe shikan le ke na chal

    nur hi nur se wabasta agar rahna hai

    sar pe suraj ko uTha sirf kiran le ke na chal

    pahle faulad bana jism ko apne ai dost

    barish-e-sang mein shisha sa badan le ke na chal

    aas insaf ki munsif se nahin hai to na rakh

    na-umidi ki magar dil mein chubhan le ke na chal

    Source :
    • Book : Roshani Takhayyul ki (Pg. 50)
    • Author : Abrar Kiratpuri
    • Publication : Markaz-e-ilm-o-Danish Qudsiya Manzil (2006)
    • Edition : 2006
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now