virana gulzar kiya hai
vīrāna gulzār kiyā hai
tair ke sahrā paar kiyā hai
ab samjhī ā.īna thā vo
maiñ ne jis par vaar kiyā hai
apne ġham kā ronā ro kar
ḳhud ko hī bāzār kiyā hai
tum chāho to jā sakte ho
par maiñ ne to pyaar kiyā hai
qudrat kyoñ nārāz hai ham se
ham ne kuchh to yaar kiyā hai
ye jo ghuum raheñ haiñ in ko
aadat ne lāchār kiyā hai
ek kahānī ek tamāsha
ham ne kitnī baar kiyā hai
virana gulzar kiya hai
tair ke sahra par kiya hai
ab samjhi aaina tha wo
main ne jis par war kiya hai
apne gham ka rona ro kar
KHud ko hi bazar kiya hai
tum chaho to ja sakte ho
par main ne to pyar kiya hai
qudrat kyon naraaz hai hum se
hum ne kuchh to yar kiya hai
ye jo ghum rahen hain in ko
aadat ne lachaar kiya hai
ek kahani ek tamasha
hum ne kitni bar kiya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.