virane bagh bagh hain meri nigah se
vīrāne baaġh baaġh haiñ merī nigāh se
zarrāt shab-e-charāġh haiñ merī nigāh se
merī nazar shuā jigar-soz-o-jāñ-gudāz
raushan diloñ ke daaġh haiñ merī nigāh se
hai kis qadar hasīn ye tasvīr-e-kā.enāt
ḳhush-rañg bāġh-o-rāġh haiñ merī nigāh se
saaqī kī chashm-e-mast pe ilzām aa na jaa.e
labrez sab ayāġh haiñ merī nigāh se
vo be-niyāz-e-dard-o-ġham-e-zindagī 'niyāz'
vo log bā-farāġh haiñ merī nigāh se
virane bagh bagh hain meri nigah se
zarraat shab-e-charagh hain meri nigah se
meri nazar shua jigar-soz-o-jaan-gudaz
raushan dilon ke dagh hain meri nigah se
hai kis qadar hasin ye taswir-e-kaenat
KHush-rang bagh-o-ragh hain meri nigah se
saqi ki chashm-e-mast pe ilzam aa na jae
labrez sab ayagh hain meri nigah se
wo be-niyaz-e-dard-o-gham-e-zindagi 'niyaz'
wo log ba-faragh hain meri nigah se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.