viraniyon mein sabza ugati rahi hun main
vīrāniyoñ meñ sabza ugātī rahī huuñ maiñ
hariyāliyoñ kā ruup dikhātī rahī huuñ maiñ
ḳhūn-e-jigar se sīñch ke banjar qadam qadam
patthar ke dil meñ phuul khilātī rahī huuñ maiñ
us kā fareb raas use aa gayā magar
sachchā.iyoñ se aañkh milātī rahī huuñ maiñ
terī navāzisheñ bhī rahīñ merī zindagī
aur tujh ko aa.ina bhī dikhātī rahī huuñ maiñ
us kī nigāh taktī rahī mujh ko ġhaur se
aur mīThī chāñdnī meñ nahātī rahī huuñ maiñ
'zarrīñ' agarche chhiḌ hī gayā qissa-e-vafā
tasvīr bas vafā kī banātī rahī huuñ maiñ
viraniyon mein sabza ugati rahi hun main
hariyaliyon ka rup dikhati rahi hun main
KHun-e-jigar se sinch ke banjar qadam qadam
patthar ke dil mein phul khilati rahi hun main
us ka fareb ras use aa gaya magar
sachchaiyon se aankh milati rahi hun main
teri nawazishen bhi rahin meri zindagi
aur tujh ko aaina bhi dikhati rahi hun main
us ki nigah takti rahi mujh ko ghaur se
aur miThi chandni mein nahati rahi hun main
'zarrin' agarche chhiD hi gaya qissa-e-wafa
taswir bas wafa ki banati rahi hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.