visal-ghaDiyon mein reza reza bikhar rahe hain
visāl-ghaḌiyoñ meñ reza reza bikhar rahe haiñ
ye kaisī rut hai ye kin azāboñ ke silsile haiñ
mire ḳhudā izn ho ki mohr-e-sukūt toḌeñ
mire ḳhudā ab tire tamāshā.ī thak chuke haiñ
na jaane kitnī gulāb-sub.heñ ḳhirāj de kar
rasan rasan ghor amāvasoñ meñ ghire hue haiñ
sadā.eñ dene lagī thiiñ hijrat kī apsarā.eñ
magar mire paañv dhartī-māñ ne pakaḌ liye haiñ
yaqīn kar lo ki ab na pīchhe qadam haTegā
ye āḳhirī had thī aur ham is tak aa ga.e haiñ
visal-ghaDiyon mein reza reza bikhar rahe hain
ye kaisi rut hai ye kin azabon ke silsile hain
mere KHuda izn ho ki mohr-e-sukut toDen
mere KHuda ab tere tamashai thak chuke hain
na jaane kitni gulab-subhen KHiraj de kar
rasan rasan ghor amawason mein ghire hue hain
sadaen dene lagi thin hijrat ki apsaraen
magar mere panw dharti-man ne pakaD liye hain
yaqin kar lo ki ab na pichhe qadam haTega
ye aaKHiri had thi aur hum is tak aa gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.