wo aa ke baiThe the jis waqt aashiyane mein
vo aa ke baiThe the jis vaqt āshiyāne meñ
amiir jhāñk rahe the ġharīb-ḳhāne meñ
hazār qāfile guzre haiñ sāmne se magar
maiñ rah gayā huuñ tumheñ dekhne dikhāne meñ
tamām 'umr bichhaḌne se ḳhauf khāyā magar
zarā sī der lagī asthiyāñ bahāne meñ
hamāre dil ko sukūn aa gayā hai jab se miyāñ
machī huī hai 'ajab haḌbaḌī zamāne meñ
ḳhudā ke vāste chehra sañbhāl kar rakhnā
lagā huā hai koī aa.ina banāne meñ
wo aa ke baiThe the jis waqt aashiyane mein
amir jhank rahe the gharib-KHane mein
hazar qafile guzre hain samne se magar
main rah gaya hun tumhein dekhne dikhane mein
tamam 'umr bichhaDne se KHauf khaya magar
zara si der lagi asthiyan bahane mein
hamare dil ko sukun aa gaya hai jab se miyan
machi hui hai 'ajab haDbaDi zamane mein
KHuda ke waste chehra sanbhaal kar rakhna
laga hua hai koi aaina banane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.