wo aadmi nahin hai mukammal bayan hai
vo aadmī nahīñ hai mukammal bayān hai
māthe pe us ke choT kā gahrā nishān hai
vo kar rahe haiñ ishq pe sanjīda guftugū
maiñ kyā batā.ūñ merā kahīñ aur dhyān hai
sāmān kuchh nahīñ hai phaTe-hāl hai magar
jhole meñ us ke paas koī samvidhān hai
us sar-phire ko yuuñ nahīñ bahlā sakeñge aap
vo aadmī nayā hai magar sāvdhān hai
phisle jo us jagah to luḌhakte chale ga.e
ham ko pata nahīñ thā ki itnī Dhalān hai
dekhe haiñ ham ne daur ka.ī ab ḳhabar nahīñ
paaoñ tale zamīn hai yā āsmān hai
vo aadmī milā thā mujhe us kī baat se
aisā lagā ki vo bhī bahut be-zabān hai
wo aadmi nahin hai mukammal bayan hai
mathe pe us ke choT ka gahra nishan hai
wo kar rahe hain ishq pe sanjida guftugu
main kya bataun mera kahin aur dhyan hai
saman kuchh nahin hai phaTe-haal hai magar
jhole mein us ke pas koi samwidhan hai
us sar-phire ko yun nahin bahla sakenge aap
wo aadmi naya hai magar sawdhan hai
phisle jo us jagah to luDhakte chale gae
hum ko pata nahin tha ki itni Dhalan hai
dekhe hain hum ne daur kai ab KHabar nahin
paon tale zamin hai ya aasman hai
wo aadmi mila tha mujhe us ki baat se
aisa laga ki wo bhi bahut be-zaban hai
- Book : Saye mein dhoop (Pg. 59)
- Author : Dushyant Kumar
- Publication : Radha krishna Prakashan.Pvt.Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.