wo aaega dil se dua to karo
vo aa.egā dil se duā to karo
namāz-e-mohabbat adā to karo
milegā koī ban ke unvān bhī
kahānī kī tum ibtidā to karo
samajhne lagoge nazar kī zabāñ
mohabbat se dil āshnā to karo
tumheñ maar Dāleñgī tanhā.iyāñ
hameñ apne dil se judā to karo
tumhāre karam se hai ye zindagī
maiñ bujh jā.ūñgā tum havā to karo
hazāroñ manāzir nigāhoñ meñ haiñ
rukoge kahāñ faisla to karo
pukāre tumheñ kūcha-e-ārzū
kabhī 'naqsh' dil kā kahā to karo
wo aaega dil se dua to karo
namaz-e-mohabbat ada to karo
milega koi ban ke unwan bhi
kahani ki tum ibtida to karo
samajhne lagoge nazar ki zaban
mohabbat se dil aashna to karo
tumhein mar Dalengi tanhaiyan
hamein apne dil se juda to karo
tumhaare karam se hai ye zindagi
main bujh jaunga tum hawa to karo
hazaron manazir nigahon mein hain
rukoge kahan faisla to karo
pukare tumhein kucha-e-arzu
kabhi 'naqsh' dil ka kaha to karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.