wo aaenge wo aate hain wo aane ko hain wo aae
vo ā.eñge vo aate haiñ vo aane ko haiñ vo aa.e
tasavvur ko vo bahlā.eñ tasavvur ham ko bahlā.e
vo chamkā chāñd chhiTkī chāñdnī taare nikal aa.e
vo kyā aa.e zamīñ par āsmāñ ne phuul barsā.e
azal se tā-abad hai jalva farmā husn-e-sad-sheva
vahī sāhib-nazar hai jo barābar dekhtā jaa.e
kahāñ insāñ kahāñ 'aql-o-ḳhirad kī beḌiyāñ tauba
zarā bhī 'aql ho to aadmī dīvāna ho jaa.e
vajūd-e-nūr par mauqūf haiñ āsār-e-zulmat bhī
na hogī raushnī to phir kahāñ jā.eñge ye saa.e
'zahīn' āsūdgī rāh-e-talab meñ hai ziyāñ-kārī
hazāroñ kos haiñ vo duur jo ik lamha sustā.e
wo aaenge wo aate hain wo aane ko hain wo aae
tasawwur ko wo bahlaen tasawwur hum ko bahlae
wo chamka chand chhiTki chandni tare nikal aae
wo kya aae zamin par aasman ne phul barsae
azal se ta-abad hai jalwa farma husn-e-sad-shewa
wahi sahib-nazar hai jo barabar dekhta jae
kahan insan kahan 'aql-o-KHirad ki beDiyan tauba
zara bhi 'aql ho to aadmi diwana ho jae
wajud-e-nur par mauquf hain aasar-e-zulmat bhi
na hogi raushni to phir kahan jaenge ye sae
'zahin' aasudgi rah-e-talab mein hai ziyan-kari
hazaron kos hain wo dur jo ek lamha sustae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.