wo ab numaish-e-sair-o-safar se bahar hai
vo ab numā.ish-e-sair-o-safar se bāhar hai
ye mere saath magar rahguzar se bāhar hai
vahī muqīm hai jo apne ghar se bāhar hai
ki jitnā saaya hai saarā shajar se bāhar hai
mire ḳhudā ye tab-o-tāb-e-saf.ha kaisī hai
jo likh rahā huuñ vo kilk-e-hunar se bāhar hai
zamīr-e-ḳhāk ko ab zahar hī likho ya.anī
ilaaj us kā kaf-e-chāra-gar se bāhar hai
chalo namāz paḌheñ aur qarīb le aa.eñ
shajar duā kā hamārī sahar se bāhar hai
asiir hai mirī khīñchī huī lakīroñ kā
ye vahm hai ki vo mere asar se bāhar hai
ye ijz hai ki qanā.at hai kuchh nahīñ khultā
bahut dinoñ se vo ḳhair-o-ḳhabar se bāhar hai
na jaane kyā hai kisī chaak par Thahartī nahīñ
hamārī ḳhaak gil-e-kūza-gar se bāhar hai
wo ab numaish-e-sair-o-safar se bahar hai
ye mere sath magar rahguzar se bahar hai
wahi muqim hai jo apne ghar se bahar hai
ki jitna saya hai sara shajar se bahar hai
mere KHuda ye tab-o-tab-e-safha kaisi hai
jo likh raha hun wo kilk-e-hunar se bahar hai
zamir-e-KHak ko ab zahar hi likho yani
ilaj us ka kaf-e-chaara-gar se bahar hai
chalo namaz paDhen aur qarib le aaen
shajar dua ka hamari sahar se bahar hai
asir hai meri khinchi hui lakiron ka
ye wahm hai ki wo mere asar se bahar hai
ye ijz hai ki qanaat hai kuchh nahin khulta
bahut dinon se wo KHair-o-KHabar se bahar hai
na jaane kya hai kisi chaak par Thaharti nahin
hamari KHak gil-e-kuza-gar se bahar hai
- Book : Imkaan-e-roz-o-shab (Pg. 97)
- Author : Syed Abul Hasnat Haqqi
- Publication : Educational Publishing House (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.