wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain
vo abrū yaad aate haiñ vo mizhgāñ yaad aate haiñ
na pūchho kaise kaise tīr-o-paikāñ yaad aate haiñ
vo jin ke taht jhuk jaatā thā sar asnām ke aage
vahī bhūle hue ahkām-e-yazdāñ yaad aate haiñ
jo aksar bār-var hone se pahle TuuT jaate the
vahī ḳhasta shikasta ahd-o-paimāñ yaad aate haiñ
vo marmar kī tarah shaffāf aur hañste hue a.azā
hayāt-e-jāvidāñ ke sāz-o-sāmāñ yaad aate haiñ
gumāñ hotā hai vahshī nik.hatoñ ne bheñch Daalā hai
kuchh itne be-mahābā sumbulistāñ yaad aate haiñ
vo gul-andāz jin kā ḳhalq sarmāya thā jiine kā
vo ban ban kar charāġh-e-mahfil-e-jāñ yaad aate haiñ
ḳhayāl aatā hai jab bhī dilbaroñ kī ham-nashīnī kā
talātum rang ke ḳhushbū ke tūfāñ yaad aate haiñ
uḌī phirtī thī bosoñ kī chaTak jin kī fazāoñ meñ
vo ehsāsāt meñ Duube shabistāñ yaad aate haiñ
faqīh-o-shaiḳh ke zehnoñ meñ but hoñge ḳhudāoñ ke
maiñ insāñ huuñ mujhe to sirf insāñ yaad aate haiñ
piyāla shaam ko rakhtā huuñ jab bhī maiñ 'adam' aage
javāñ ham-joliyoñ ke rū-e-ḳhandāñ yaad aate haiñ
wo abru yaad aate hain wo mizhgan yaad aate hain
na puchho kaise kaise tir-o-paikan yaad aate hain
wo jin ke taht jhuk jata tha sar asnam ke aage
wahi bhule hue ahkaam-e-yazdan yaad aate hain
jo aksar bar-war hone se pahle TuT jate the
wahi KHasta shikasta ahd-o-paiman yaad aate hain
wo marmar ki tarah shaffaf aur hanste hue aaza
hayat-e-jawidan ke saz-o-saman yaad aate hain
guman hota hai wahshi nikhaton ne bhench Dala hai
kuchh itne be-mahaba sumbulistan yaad aate hain
wo gul-andaz jin ka KHalq sarmaya tha jine ka
wo ban ban kar charagh-e-mahfil-e-jaan yaad aate hain
KHayal aata hai jab bhi dilbaron ki ham-nashini ka
talatum rang ke KHushbu ke tufan yaad aate hain
uDi phirti thi boson ki chaTak jin ki fazaon mein
wo ehsasat mein Dube shabistan yaad aate hain
faqih-o-shaiKH ke zehnon mein but honge KHudaon ke
main insan hun mujhe to sirf insan yaad aate hain
piyala sham ko rakhta hun jab bhi main 'adam' aage
jawan ham-joliyon ke ru-e-KHandan yaad aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.