wo agar bewafa nahin hota
vo agar bevafā nahīñ hotā
phir koī mas.ala nahīñ hotā
qarz ham par zarūr thā koī
varna ye silsila nahīñ hotā
jo mohabbat use bhī hotī to
is qadar fāsla nahīñ hotā
hai hidāyat hamārī hī ḳhud ko
dil se ab mashvara nahīñ hotā
zindagī le chale jidhar chāhe
ham se ab faisla nahīñ hotā
wo agar bewafa nahin hota
phir koi masala nahin hota
qarz hum par zarur tha koi
warna ye silsila nahin hota
jo mohabbat use bhi hoti to
is qadar fasla nahin hota
hai hidayat hamari hi KHud ko
dil se ab mashwara nahin hota
zindagi le chale jidhar chahe
hum se ab faisla nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.