wo aks-e-dil-e-ashna chhoD aae
vo aks-e-dil-e-āshnā chhoḌ aa.e
kahīñ bhī jo naqsh-e-vafā chhoḌ aa.e
jahāñ ahl-e-ġham naqsh-e-pā chhoḌ aa.e
diloñ ke liye rahnumā chhoḌ aa.e
ujālā diloñ meñ na jab kar sake ham
tamannā kā jaltā diyā chhoḌ aa.e
jo the kushta-e-dard un ke liye ham
nahīñ kuchh to dil kī duā chhoḌ aa.e
'farāz' is tarah zindagī hai gizārī
ki goyā koī hādsa chhoḌ aa.e
wo aks-e-dil-e-ashna chhoD aae
kahin bhi jo naqsh-e-wafa chhoD aae
jahan ahl-e-gham naqsh-e-pa chhoD aae
dilon ke liye rahnuma chhoD aae
ujala dilon mein na jab kar sake hum
tamanna ka jalta diya chhoD aae
jo the kushta-e-dard un ke liye hum
nahin kuchh to dil ki dua chhoD aae
'faraaz' is tarah zindagi hai gizari
ki goya koi hadsa chhoD aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.