wo anjuman ho ki maqtal lahu lahu hi rahe
vo anjuman ho ki maqtal lahū lahū hī rahe
jahāñ kahīñ bhī rahe ham to surḳh-rū hī rahe
vo daur hai ki ġham-e-vasl-o-hijr ek taraf
maiñ sochtā huuñ mohabbat kī aabrū hī rahe
na pūchh ham se zamāne ne kyā sulūk kiyā
bahut hai dil meñ agar terī aarzū hī rahe
ye mai-kada hai yahāñ ḳhūn-e-dil kī baat na kar
yahāñ to tazkira-e-bād-o-subū hī rahe
shab-e-firāq to āḳhir guzārnī Thahrī
jo vo nahīñ na sahī us kī guftugū hī rahe
ḳhudā kare na kabhī lazzat-e-safar kam ho
tamām-umr hameñ terī justujū hī rahe
bahār aa.ī bhī 'ḳhāvar' to kyā bahār aa.ī
chaman ke phuul to mahrūm-e-rañg-o-bū hī rahe
wo anjuman ho ki maqtal lahu lahu hi rahe
jahan kahin bhi rahe hum to surKH-ru hi rahe
wo daur hai ki gham-e-wasl-o-hijr ek taraf
main sochta hun mohabbat ki aabru hi rahe
na puchh hum se zamane ne kya suluk kiya
bahut hai dil mein agar teri aarzu hi rahe
ye mai-kada hai yahan KHun-e-dil ki baat na kar
yahan to tazkira-e-baad-o-subu hi rahe
shab-e-firaq to aaKHir guzarni Thahri
jo wo nahin na sahi us ki guftugu hi rahe
KHuda kare na kabhi lazzat-e-safar kam ho
tamam-umr hamein teri justuju hi rahe
bahaar aai bhi 'KHawar' to kya bahaar aai
chaman ke phul to mahrum-e-rang-o-bu hi rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.