wo badan mahtab jaisa hai
vo badan māhtāb jaisā hai
raushnī ke nisāb jaisā hai
chāñd ko Dhak rahā hai jo bādal
tere ruḳh par naqāb jaisā hai
mujh ko paḌhne kī tū ijāzat de
terā chehra kitāb jaisā hai
pī liyā jaam kis kī āñkhoñ se
nasha mujh par sharāb jaisā hai
maiñ ye kis shahr meñ chalā aayā
lamha lamha 'azāb jaisā hai
rū-e-jānāñ to be-misālī hai
kaise kah duuñ gulāb jaisā hai
zikr maazī kā kyā kareñ 'rizvān'
zehn meñ ab ye ḳhvāb jaisā hai
wo badan mahtab jaisa hai
raushni ke nisab jaisa hai
chand ko Dhak raha hai jo baadal
tere ruKH par naqab jaisa hai
mujh ko paDhne ki tu ijazat de
tera chehra kitab jaisa hai
pi liya jam kis ki aankhon se
nasha mujh par sharab jaisa hai
main ye kis shahr mein chala aaya
lamha lamha 'azab jaisa hai
ru-e-jaanan to be-misali hai
kaise kah dun gulab jaisa hai
zikr mazi ka kya karen 'rizwan'
zehn mein ab ye KHwab jaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.