wo badan phul ki bahon mein pala ho jaise
vo badan phuul kī bāhoñ meñ palā ho jaise
is qadar narm ki ḳhvāboñ meñ Dhalā ho jaise
zindagī TūTte shīshoñ kī sadā ho jaise
zindagī kāñpte hoñToñ kī duā ho jaise
is tarah dil meñ tirī yaad kī ḳhushbū aa.ī
dasht-e-vīrāñ meñ koī phuul khilā ho jaise
jab mulāqāt huī un se to yuuñ hañs ke mile
koī shikva na shikāyat na gilā ho jaise
zindagī dī hai diloñ ko mire gītoñ ne 'shahāb'
merī āvāz haqā.eq kī sadā ho jaise
wo badan phul ki bahon mein pala ho jaise
is qadar narm ki KHwabon mein Dhala ho jaise
zindagi TuTte shishon ki sada ho jaise
zindagi kanpte honTon ki dua ho jaise
is tarah dil mein teri yaad ki KHushbu aai
dasht-e-viran mein koi phul khila ho jaise
jab mulaqat hui un se to yun hans ke mile
koi shikwa na shikayat na gila ho jaise
zindagi di hai dilon ko mere giton ne 'shahab'
meri aawaz haqaeq ki sada ho jaise
- Book : Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 245)
- Author : Muzaffar Hanfi
- Publication : Anjuman-e-Rooh-e-Adab Allahabad (1993 )
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.