wo baDe bante hain apne nam se
vo baḌe bante haiñ apne naam se
ham baḌe bante hai apne kaam se
vo kabhī āġhāz kar sakte nahīñ
ḳhauf lagtā hai jinheñ anjām se
ik nazar mahfil meñ dekhā thā jise
ham to kho.e hai usī meñ shaam se
dostī chāhat vafā is daur meñ
kaam rakh ai dost apne kaam se
jin se koī vāsta tak hai nahīñ
kyuuñ vo jalte hai hamāre naam se
us ke dil kī aag ThanDī paḌ ga.ī
mujh ko shohrat mil ga.ī ilzām se
mahfiloñ meñ zikr mat karnā mirā
aag lag jaatī hai mere naam se
wo baDe bante hain apne nam se
hum baDe bante hai apne kaam se
wo kabhi aaghaz kar sakte nahin
KHauf lagta hai jinhen anjam se
ek nazar mahfil mein dekha tha jise
hum to khoe hai usi mein sham se
dosti chahat wafa is daur mein
kaam rakh ai dost apne kaam se
jin se koi wasta tak hai nahin
kyun wo jalte hai hamare nam se
us ke dil ki aag ThanDi paD gai
mujh ko shohrat mil gai ilzam se
mahfilon mein zikr mat karna mera
aag lag jati hai mere nam se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.