Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

wo bahut KHush hai KHitabaat-o-muraat ke sath

Mohammad Abid Ali Abid

wo bahut KHush hai KHitabaat-o-muraat ke sath

Mohammad Abid Ali Abid

MORE BYMohammad Abid Ali Abid

    vo bahut ḳhush hai ḳhitābāt-o-murā.āt ke saath

    ḳhuub badlā vo badalte hue hālāt ke saath

    dil ke nazdīk pare aañkh se rahne vaale

    kyā ta.alluq hai tirī yaad barsāt ke saath

    merī ḳhvāhish zarā bhī na rakhā paas us ne

    mujh ko lauTā diyā ḳhat chand hidāyāt ke saath

    nik.hat-o-nūr-o-ziyā husn pahchān bane

    ishq mansūb huā bām-e-ḳharābāt ke saath

    maiñ ne lauTā diye sauġhāt-o-tahā.if us ke

    mujh ko manzūr na thī shart ināyāt ke saath

    wo bahut KHush hai KHitabaat-o-muraat ke sath

    KHub badla wo badalte hue haalat ke sath

    dil ke nazdik pare aankh se rahne wale

    kya talluq hai teri yaad ka barsat ke sath

    meri KHwahish ka zara bhi na rakha pas us ne

    mujh ko lauTa diya KHat chand hidayat ke sath

    nikhat-o-nur-o-ziya husn ki pahchan bane

    ishq mansub hua baam-e-KHarabaat ke sath

    main ne lauTa diye saughat-o-tahaif us ke

    mujh ko manzur na thi shart inayat ke sath

    Source :
    • Book : Falak Daricha (Pg. 74)
    • Author : Mohd. Abid Ali Abid
    • Publication : Mohd. Abid Ali Abid (2007)
    • Edition : 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now