wo bekali hai koi rasta sujhai na de
vo bekalī hai koī rāsta sujhā.ī na de
vo shor hai ki ḳhud apnī sadā sunā.ī na de
maiñ kyā karūñgā bhalā jā ke us bulandī par
jahāñ se merā hī saaya mujhe dikhā.ī na de
jo mujh ko dard ke andhe kueñ meñ pheñk aa.e
mire vajūd ko vo karb-āshnā.ī na de
na jaane kaun hai mujh meñ jo har ghaḌī mujh ko
koī sujhāo sā detā rahe dikhā.ī na de
'jamīl' vaqt se aage nikal ga.e ham log
zamāna ab hameñ ilzām-e-nā-rasā.ī na de
wo bekali hai koi rasta sujhai na de
wo shor hai ki KHud apni sada sunai na de
main kya karunga bhala ja ke us bulandi par
jahan se mera hi saya mujhe dikhai na de
jo mujh ko dard ke andhe kuen mein phenk aae
mere wajud ko wo karb-ashnai na de
na jaane kaun hai mujh mein jo har ghaDi mujh ko
koi sujhao sa deta rahe dikhai na de
'jamil' waqt se aage nikal gae hum log
zamana ab hamein ilzam-e-na-rasai na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.