wo bewafa hai hamesha hi dil dukhata hai
vo bevafā hai hamesha hī dil dukhātā hai
magar hameñ to vahī ek shaḳhs bhātā hai
na ḳhush-gumān ho is par tū ai dil-e-sāda
sabhī ko dekh ke vo shoḳh muskurātā hai
jagah jo dil meñ nahīñ hai mire liye na sahī
magar ye kyā ki bharī bazm se uThātā hai
tire karam kī yahī yādgār baaqī hai
ye ek daaġh jo is dil meñ jagmagātā hai
ajiib chiiz hai ye vaqt jis ko kahte haiñ
ki aane paatā nahīñ aur biit jaatā hai
wo bewafa hai hamesha hi dil dukhata hai
magar hamein to wahi ek shaKHs bhata hai
na KHush-guman ho is par tu ai dil-e-sada
sabhi ko dekh ke wo shoKH muskuraata hai
jagah jo dil mein nahin hai mere liye na sahi
magar ye kya ki bhari bazm se uThata hai
tere karam ki yahi yaadgar baqi hai
ye ek dagh jo is dil mein jagmagata hai
ajib chiz hai ye waqt jis ko kahte hain
ki aane pata nahin aur bit jata hai
- Book : sooraj ko nikalta dekhoon (Pg. 124)
- Author : shaharyar
- Publication : educational book house (2013)
- Edition : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.