wo bewafa hai use bewafa kahun kaise
vo bevafā hai use bevafā kahūñ kaise
burā zarūr hai lekin burā kahūñ kaise
jo kashtiyoñ ko Dubotā hai lā ke sāhil par
tumhī batāo use nāḳhudā kahūñ kaise
ye aur baat bure ko burā nahīñ kahtā
burā burā hai bure ko bhalā kahūñ kaise
vo merī sāñsoñ meñ dil meñ nazar meñ ġhazloñ meñ
maiñ apne-āp se is ko judā kahūñ kaise
jo tujh se kahnā hai duniyā se vo chhupānā hai
agar ġhazal na kahūñ to batā kahūñ kaise
havā kī shah pe jalātā hai ghar ġharīboñ ke
'navāz' aise diye ko diyā kahūñ kaise
wo bewafa hai use bewafa kahun kaise
bura zarur hai lekin bura kahun kaise
jo kashtiyon ko Dubota hai la ke sahil par
tumhi batao use naKHuda kahun kaise
ye aur baat bure ko bura nahin kahta
bura bura hai bure ko bhala kahun kaise
wo meri sanson mein dil mein nazar mein ghazlon mein
main apne-ap se is ko juda kahun kaise
jo tujh se kahna hai duniya se wo chhupana hai
agar ghazal na kahun to bata kahun kaise
hawa ki shah pe jalata hai ghar gharibon ke
'nawaz' aise diye ko diya kahun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.