wo bhi ab yaad karen kis ko manane nikle
vo bhī ab yaad kareñ kis ko manāne nikle
ham bhī yūñhī to na maane the siyāne nikle
maiñ ne mahsūs kiyā jab bhī ki ghar se niklā
aur bhī log ka.ī kar ke bahāne nikle
aaj kī baat pe maiñ hañstā rahā hañstā rahā
choT taaza jo lagī dard purāne nikle
ek shatranj-numā zindagī ke ḳhānoñ meñ
aise ham shaah jo pyādoñ ke nishāne nikle
tū ne jis shaḳhs ko maarā thā samajh kar kāfir
us kī muTThī se to tasbīh ke daane nikle
kaash ho aaj kuchh aisā vo mirā mālik-e-dil
mere dil se hī mire dil ko churāne nikle
aap kā dard in āñkhoñ se chhalaktā kaise
mere aañsū to piyāzoñ ke bahāne nikle
maiñ samajhtā thā tujhe ek zamāne kā magar
tere andar to ka.ī aur zamāne nikle
lāpata aaj talak qāfile saare haiñ 'amīr'
jo tire pyaar meñ kho kar tujhe paane nikle
wo bhi ab yaad karen kis ko manane nikle
hum bhi yunhi to na mane the siyane nikle
main ne mahsus kiya jab bhi ki ghar se nikla
aur bhi log kai kar ke bahane nikle
aaj ki baat pe main hansta raha hansta raha
choT taza jo lagi dard purane nikle
ek shatranj-numa zindagi ke KHanon mein
aise hum shah jo pyaadon ke nishane nikle
tu ne jis shaKHs ko mara tha samajh kar kafir
us ki muTThi se to tasbih ke dane nikle
kash ho aaj kuchh aisa wo mera malik-e-dil
mere dil se hi mere dil ko churane nikle
aap ka dard in aankhon se chhalakta kaise
mere aansu to piyazon ke bahane nikle
main samajhta tha tujhe ek zamane ka magar
tere andar to kai aur zamane nikle
lapata aaj talak qafile sare hain 'amir'
jo tere pyar mein kho kar tujhe pane nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.