wo bhi kya din the ki hasil mujhko tera pyar tha
vo bhī kyā din the ki hāsil mujh ko terā pyaar thā
ek pal inkār thā aur ek pal iqrār thā
vo bhī kyā din the yahāñ gulzār thā aur yaar thā
is jagah nokīle ḳhāroñ kā baḌā ambār thā
rāstoñ ke pech-o-ḳham kī fikr thī vallāh kise
ye tasallī thī ki mere saath merā yaar thā
zindagī ke goshe goshe meñ talāshā thā jise
mil gayā mujh ko vo jab mere liye bekār thā
chandā maamā kī kahānī nanhe bachchoñ ne sunī
chāñd par jaanā to pichhle daur meñ dushvār thā
ik zamāna jis ko kahtā thā 'kalīm-e-tāhirī'
yaad hai is shahr meñ itnā baḌā fankār thā
wo bhi kya din the ki hasil mujh ko tera pyar tha
ek pal inkar tha aur ek pal iqrar tha
wo bhi kya din the yahan gulzar tha aur yar tha
is jagah nokile KHaron ka baDa ambar tha
raston ke pech-o-KHam ki fikr thi wallah kise
ye tasalli thi ki mere sath mera yar tha
zindagi ke goshe goshe mein talasha tha jise
mil gaya mujh ko wo jab mere liye bekar tha
chanda mama ki kahani nanhe bachchon ne suni
chand par jaana to pichhle daur mein dushwar tha
ek zamana jis ko kahta tha 'kalim-e-tahiri'
yaad hai is shahr mein itna baDa fankar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.