wo bhi teri thi nazar jis ne mujhe shad kiya
vo bhī terī thī nazar jis ne mujhe shaad kiyā
ye bhī hai terī nazar jis ne ki barbād kiyā
barq kā kaam nasheman ko jalānā hai magar
ik nasheman hai jise barq ne ābād kiyā
ek Thokar ne kabhī baḳhshī hai murde ko hayāt
ek Thokar ne kabhī ziist ko barbād kiyā
is zabāñ ne kabhī dushman ko banāyā apnā
is zabāñ ne kabhī ahbāb ko nāshād kiyā
bevafā.ī ko tirī ham na kabhī bhuul sake
zikr zālim kā chhiḌā jab bhī tujhe yaad kiyā
tū ne bulbul kā qafas lā ke chaman meñ rakkhā
ik nayā zulm ye majbūr pe sayyād kiyā
ham bagūle kī tarah dasht meñ phirte haiñ 'ġhubār'
josh-e-vahshat ne kuchh aisā hameñ āzād kiyā
wo bhi teri thi nazar jis ne mujhe shad kiya
ye bhi hai teri nazar jis ne ki barbaad kiya
barq ka kaam nasheman ko jalana hai magar
ek nasheman hai jise barq ne aabaad kiya
ek Thokar ne kabhi baKHshi hai murde ko hayat
ek Thokar ne kabhi zist ko barbaad kiya
is zaban ne kabhi dushman ko banaya apna
is zaban ne kabhi ahbab ko nashad kiya
bewafai ko teri hum na kabhi bhul sake
zikr zalim ka chhiDa jab bhi tujhe yaad kiya
tu ne bulbul ka qafas la ke chaman mein rakkha
ek naya zulm ye majbur pe sayyaad kiya
hum bagule ki tarah dasht mein phirte hain 'ghubar'
josh-e-wahshat ne kuchh aisa hamein aazad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.