wo bhul gaya mujhse barson ki shanasai
vo bhuul gayā mujh se barsoñ kī shanāsā.ī
lamhoñ ne ḳhatā kī thī sadiyoñ ne sazā paa.ī
hālāt kā ab maiñ huuñ ḳhāmosh tamāshā.ī
bhaa.ī se taḌaptā hai milne ke liye bhaa.ī
tasvīr tasavvur hī bas ek sahārā hai
furqat ne banā Daalā us kī mujhe saudā.ī
jazbāt the be-qābū kartā bhī to kyā kartā
us rashk-e-gul-e-tar kī jab yaad mujhe aa.ī
yādoñ ke jharokoñ se hasrat hai use dekhūñ
pahle thā jo āñkhoñ kī merī kabhī bīnā.ī
vo dekhnā muḌ muḌ kar us kā mujhe hasrat se
baaqī na rahī merī jab quvvat-e-goyā.ī
jo tār-e-rag-e-jāñ par har-vaqt ġhazal-ḳhvāñ thī
ras gholtī hai ab bhī kānoñ meñ vo shahnā.ī
duzdīda-nigāhī meñ kho jaatā thā dil jin kī
un jhiil sī āñkhoñ kī yaad aa.ī hai gahrā.ī
detā hai koī dastak aa aa ke dar-e-dil par
kaaTe nahīñ kaTtī hai 'barqī' shab-e-tanhā.ī
wo bhul gaya mujh se barson ki shanasai
lamhon ne KHata ki thi sadiyon ne saza pai
haalat ka ab main hun KHamosh tamashai
bhai se taDapta hai milne ke liye bhai
taswir tasawwur hi bas ek sahaara hai
furqat ne bana Dala us ki mujhe saudai
jazbaat the be-qabu karta bhi to kya karta
us rashk-e-gul-e-tar ki jab yaad mujhe aai
yaadon ke jharokon se hasrat hai use dekhun
pahle tha jo aankhon ki meri kabhi binai
wo dekhna muD muD kar us ka mujhe hasrat se
baqi na rahi meri jab quwwat-e-goyai
jo tar-e-rag-e-jaan par har-waqt ghazal-KHwan thi
ras gholti hai ab bhi kanon mein wo shahnai
duzdida-nigahi mein kho jata tha dil jin ki
un jhil si aankhon ki yaad aai hai gahrai
deta hai koi dastak aa aa ke dar-e-dil par
kaTe nahin kaTti hai 'barqi' shab-e-tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.