wo bulaen to kya tamasha ho
vo bulā.eñ to kyā tamāshā ho
ham na jaa.eñ to kyā tamāshā ho
ye kināroñ se khelne vaale
Duub jaa.eñ to kyā tamāshā ho
banda-parvar jo ham pe guzrī hai
ham batā.eñ to kyā tamāshā ho
aaj ham bhī tirī vafāoñ par
muskurā.eñ to kyā tamāshā ho
terī sūrat jo ittifāq se ham
bhuul jaa.eñ to kyā tamāshā ho
vaqt kī chand sā.ateñ 'sāġhar'
lauT aa.eñ to kyā tamāshā ho
wo bulaen to kya tamasha ho
hum na jaen to kya tamasha ho
ye kinaron se khelne wale
Dub jaen to kya tamasha ho
banda-parwar jo hum pe guzri hai
hum bataen to kya tamasha ho
aaj hum bhi teri wafaon par
muskuraen to kya tamasha ho
teri surat jo ittifaq se hum
bhul jaen to kya tamasha ho
waqt ki chand saaten 'saghar'
lauT aaen to kya tamasha ho
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.