wo chand tha baadalon mein gum tha
vo chāñd thā bādaloñ meñ gum thā
vo aks thā pāniyoñ meñ gum thā
dastak kī sadā to aa rahī thī
maiñ apne hī vāhimoñ meñ gum thā
chehre pe mohabbateñ sajī thiiñ
dil apnī hī nafratoñ meñ gum thā
miTTī meñ namī kahāñ se aatī
paanī to samundaroñ meñ gum thā
darbār meñ kursiyāñ sajī thiiñ
har shaḳhs aqīdatoñ meñ gum thā
us ahd kā kyā shumār kiije
jo ahd ka.ī rutoñ meñ gum thā
insāf kī bhiik kise miltī
qānūn shahādatoñ meñ gum thā
shīrīñ se sajā thā qasr-e-ḳhusrav
farhād mohabbatoñ meñ gum thā
manzil kā surāġh dene vaalā
be-nām masāfatoñ meñ gum thā
wo chand tha baadalon mein gum tha
wo aks tha paniyon mein gum tha
dastak ki sada to aa rahi thi
main apne hi wahimon mein gum tha
chehre pe mohabbaten saji thin
dil apni hi nafraton mein gum tha
miTTi mein nami kahan se aati
pani to samundaron mein gum tha
darbar mein kursiyan saji thin
har shaKHs aqidaton mein gum tha
us ahd ka kya shumar kije
jo ahd kai ruton mein gum tha
insaf ki bhik kise milti
qanun shahadaton mein gum tha
shirin se saja tha qasr-e-KHusraw
farhad mohabbaton mein gum tha
manzil ka suragh dene wala
be-nam masafaton mein gum tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.