wo chandni wo chand sa paikar utar de
vo chāñdnī vo chāñd sā paikar utaar de
pahlū meñ koī ḳhvāb kā manzar utaar de
mahfūz ab nahīñ haiñ mire dil kī sarhadeñ
kah do kisī ġhanīm se lashkar utaar de
kab se sharīk huuñ maiñ jihād-e-hayāt meñ
bahr-e-najāt koī mirā sar utaar de
TuuTe tirā ḳhayāl to bistar kī har shikan
āñkhoñ meñ jaise niiñd ke nashtar utaar de
dil se lagā.e kaun mirā ġham mirī ḳhushī
har shaḳhs dil kā bojh samajh kar utaar de
jumbish jab us ke lab ko huī to pata chalā
chaTke kalī to ruuh meñ nashtar utaar de
kab se uThā.e phirtā huuñ tanhā.iyoñ kā bojh
dil se koī ye dard kā patthar utaar de
ai 'badr' ashk-e-ġham ke alāva koī to ho
tīra-shabī meñ jo mah-o-aḳhtar utaar de
wo chandni wo chand sa paikar utar de
pahlu mein koi KHwab ka manzar utar de
mahfuz ab nahin hain mere dil ki sarhaden
kah do kisi ghanim se lashkar utar de
kab se sharik hun main jihad-e-hayat mein
bahr-e-najat koi mera sar utar de
TuTe tera KHayal to bistar ki har shikan
aankhon mein jaise nind ke nashtar utar de
dil se lagae kaun mera gham meri KHushi
har shaKHs dil ka bojh samajh kar utar de
jumbish jab us ke lab ko hui to pata chala
chaTke kali to ruh mein nashtar utar de
kab se uThae phirta hun tanhaiyon ka bojh
dil se koi ye dard ka patthar utar de
ai 'badr' ashk-e-gham ke alawa koi to ho
tira-shabi mein jo mah-o-aKHtar utar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.