wo chahchahe na wo teri aahang andalib
vo chahchahe na vo tirī āhañg andalīb
kis gul kī yaad meñ hai tū dil-e-tañg andalīb
be-dād-e-bāġhbāñ se jo maiñ sair-e-bāġh kī
lākhoñ dabī paḌī thiiñ tah-e-sañg andalīb
ab barg-e-gul bhī chhīne hai dast-e-nasīm se
aage to is qadar na thī sarhañg andalīb
kyā zulm hai ki tū hai asiir aur baaġh meñ
kaliyāñ nikāltī haiñ na.e rañg andalīb
tujh ko asiir gardish-e-ayyām ne kiyā
chob-e-qafas se kartī hai kyuuñ jañg andalīb
gar shāḳh-e-gul meñ ho kamar-e-yār kī lachak
is se uḌe na khāve agar sañg andalīb
jaatā huuñ gar chaman meñ to rakh rakh ke kaan ko
naale kā mujh se sīkhtī hai Dhañg andalīb
vallāh bhuul jaave tū sab apne chahchahe
gar baaġh meñ ho vo sanam-e-shañg andalīb
aa kar chaman meñ 'mus.hafī'-e-ḳhasta kyā kare
ab sair-e-gul ko samjhe hai ye nañg andalīb
wo chahchahe na wo teri aahang andalib
kis gul ki yaad mein hai tu dil-e-tang andalib
be-dad-e-baghban se jo main sair-e-bagh ki
lakhon dabi paDi thin tah-e-sang andalib
ab barg-e-gul bhi chhine hai dast-e-nasim se
aage to is qadar na thi sarhang andalib
kya zulm hai ki tu hai asir aur bagh mein
kaliyan nikalti hain nae rang andalib
tujh ko asir gardish-e-ayyam ne kiya
chob-e-qafas se karti hai kyun jang andalib
gar shaKH-e-gul mein ho kamar-e-yar ki lachak
is se uDe na khawe agar sang andalib
jata hun gar chaman mein to rakh rakh ke kan ko
nale ka mujh se sikhti hai Dhang andalib
wallah bhul jawe tu sab apne chahchahe
gar bagh mein ho wo sanam-e-shang andalib
aa kar chaman mein 'mushafi'-e-KHasta kya kare
ab sair-e-gul ko samjhe hai ye nang andalib
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.