wo charcha ji ke jhanjhaT ka hua hai
vo charchā jī ke jhanjhaT kā huā hai
ki dil kā pāsbāñ khaTkā huā hai
vo misra.a thā ki ik gul-rañg chehra
abhī tak zehn meñ aTkā huā hai
ham un āñkhoñ ke zaḳhmā.e hue haiñ
ye haath us haath kā jhaTkā huā hai
yaqīnī hai ab is dil kī tabāhī
ye qarya raah se bhaTkā huā hai
gila is kā kareñ kis dil se 'ḳhālid'
ye dil kab ek chaukhaT kā huā hai
wo charcha ji ke jhanjhaT ka hua hai
ki dil ka pasban khaTka hua hai
wo misra tha ki ek gul-rang chehra
abhi tak zehn mein aTka hua hai
hum un aankhon ke zaKHmae hue hain
ye hath us hath ka jhaTka hua hai
yaqini hai ab is dil ki tabahi
ye qarya rah se bhaTka hua hai
gila is ka karen kis dil se 'KHalid'
ye dil kab ek chaukhaT ka hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.