wo darmiyan se nikla to ye khula mujh par
vo darmiyān se niklā to ye khulā mujh par
ki ho ga.e haiñ musallat ka.ī ḳhudā mujh par
adhūre naqsh vagarna kashish nahīñ rakhte
kiyā gayā hai koī ḳhaas tajraba mujh par
hamāre beach takallum kī ek sūrat thī
ki husn tujh pe utartā aur aa.ina mujh par
biThā diyā gayā pahle baḌe baḌoñ meñ mujhe
phir ek camera focus kiyā gayā mujh par
vo chāñd hai use zebā hai daaġh māthe par
maiñ rāsta huuñ so paḌtā hai naqsh-e-pā mujh par
maiñ ik adā se daraḳhtoñ ke beach Thahrā rahā
phir ek roz koī naam likh gayā mujh par
wo darmiyan se nikla to ye khula mujh par
ki ho gae hain musallat kai KHuda mujh par
adhure naqsh wagarna kashish nahin rakhte
kiya gaya hai koi KHas tajraba mujh par
hamare beach takallum ki ek surat thi
ki husn tujh pe utarta aur aaina mujh par
biTha diya gaya pahle baDe baDon mein mujhe
phir ek camera focus kiya gaya mujh par
wo chand hai use zeba hai dagh mathe par
main rasta hun so paDta hai naqsh-e-pa mujh par
main ek ada se daraKHton ke beach Thahra raha
phir ek roz koi nam likh gaya mujh par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.