wo desh ki miTTi se mohabbat nahin karte
vo desh kī miTTī se mohabbat nahīñ karte
jo maañ kī tarah hind kī izzat nahīñ karte
ham joḌne vaale haiñ falak aur zamīñ ko
mandir kī yā masjid kī siyāsat nahīñ karte
paḌh kar jise barbād na.ī nasl ho merī
ham aisī kitāboñ kī ishā.at nahīñ karte
rahmat kā farishta kabhī us ghar nahīñ aatā
jis ghar meñ musalmān tilāvat nahīñ karte
'iqbāl' bharosā bhī dilā.e to kise aaj
dahshat-garoñ kī ham bhī himāyat nahīñ karte
wo desh ki miTTi se mohabbat nahin karte
jo man ki tarah hind ki izzat nahin karte
hum joDne wale hain falak aur zamin ko
mandir ki ya masjid ki siyasat nahin karte
paDh kar jise barbaad nai nasl ho meri
hum aisi kitabon ki ishaat nahin karte
rahmat ka farishta kabhi us ghar nahin aata
jis ghar mein musalman tilawat nahin karte
'iqbaal' bharosa bhi dilae to kise aaj
dahshat-garon ki hum bhi himayat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.