wo dur KHwabon ke sahilon mein azab kis ke hain KHwab kis ke
wo dur KHwabon ke sahilon mein azab kis ke hain KHwab kis ke
Noon Meem Danish
MORE BYNoon Meem Danish
vo duur ḳhvāboñ ke sāhiloñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
ye kaun jaane ki ab rutoñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
ye kaun jaane ki kis kā chehra ġhubār lamhoñ meñ ḳhaak hogā
ye kaun jaane ki ab dinoñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
ye zard chehre kī saarī zardī ye bāñjh āñkhoñ kā ratjagā-pan
ye pūchhte haiñ ki ā.inoñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
jabīñ pe ubhrī huī shikan meñ ye kis kī yādoñ kā aks-e-ġham hai
ye vaqt ke bahte dā.eroñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
ye dhuup chhāñv ye ḳhaar kaliyāñ ye sāhiloñ kī havā kī ḳhushbū
ye isti.āroñ alāmatoñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
ye kaun jaane ki karb kyā hai udaas lahje meñ dard kyā hai
ye kaun jaane ki ab diloñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
tamām ḳhilqat dukhoñ kī taḳhtī gale meñ le kar khaḌī huī hai
jo roz hote haiñ sānehoñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
ye jurm-e-gandum hamārā virsa sahī magar ye hayāt 'dānish'
jo kāTte haiñ ham in dukhoñ meñ azaab kis ke haiñ ḳhvāb kis ke
wo dur KHwabon ke sahilon mein azab kis ke hain KHwab kis ke
ye kaun jaane ki ab ruton mein azab kis ke hain KHwab kis ke
ye kaun jaane ki kis ka chehra ghubar lamhon mein KHak hoga
ye kaun jaane ki ab dinon mein azab kis ke hain KHwab kis ke
ye zard chehre ki sari zardi ye banjh aankhon ka ratjaga-pan
ye puchhte hain ki aainon mein azab kis ke hain KHwab kis ke
jabin pe ubhri hui shikan mein ye kis ki yaadon ka aks-e-gham hai
ye waqt ke bahte daeron mein azab kis ke hain KHwab kis ke
ye dhup chhanw ye KHar kaliyan ye sahilon ki hawa ki KHushbu
ye istiaron alamaton mein azab kis ke hain KHwab kis ke
ye kaun jaane ki karb kya hai udas lahje mein dard kya hai
ye kaun jaane ki ab dilon mein azab kis ke hain KHwab kis ke
tamam KHilqat dukhon ki taKHti gale mein le kar khaDi hui hai
jo roz hote hain sanehon mein azab kis ke hain KHwab kis ke
ye jurm-e-gandum hamara wirsa sahi magar ye hayat 'danish'
jo kaTte hain hum in dukhon mein azab kis ke hain KHwab kis ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.