wo ehtiyat ka aalam pas-e-sawal koi
vo ehtiyāt kā aalam pas-e-savāl koī
bachā hai raat ke hamle se baal baal koī
dikhā.ī detī hai pahle to raushnī ghar kī
nafī meñ sar ko hilātā hai phir ḳhayāl koī
dhaḌak rahā hai duāoñ kī raunaqeñ le kar
mire vajūd-e-gurezāñ meñ lā-zavāl koī
mileñge ḳhvāb bhī dīdār karne vāloñ meñ
paḌā hai peḌ kī chhāñv meñ pā.emāl koī
wo ehtiyat ka aalam pas-e-sawal koi
bacha hai raat ke hamle se baal baal koi
dikhai deti hai pahle to raushni ghar ki
nafi mein sar ko hilata hai phir KHayal koi
dhaDak raha hai duaon ki raunaqen le kar
mere wajud-e-gurezan mein la-zawal koi
milenge KHwab bhi didar karne walon mein
paDa hai peD ki chhanw mein paemal koi
- Book : Taziyana (Pg. 185)
- Author : Javid Nasir
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.