wo ek gham ki sahaara tha zindagi ke liye
vo ek ġham ki sahārā thā zindagī ke liye
bhulā rahā huuñ use bhī tirī ḳhushī ke liye
to yuuñ ḳhayāl ke darvāze ham pe band na kar
hazār shahr khule hoñge ajnabī ke liye
jahāñ meñ kaun bachā hai hamāre qatl ke ba.ad
jo terī zulf machaltī hai barhamī ke liye
ḳhizāñ kā daur chaman meñ nayā nahīñ hai magar
kalī kalī na tarastī thī tāzgī ke liye
har ek samt sarāboñ ke qāfile haiñ ravāñ
nazar nazar meñ bayābāñ hai aadmī ke liye
jigar ke daaġh chhupā.e kabhī jo ham ne 'ḳhalīl'
añdhere dil meñ utar aa.e raushnī ke liye
wo ek gham ki sahaara tha zindagi ke liye
bhula raha hun use bhi teri KHushi ke liye
to yun KHayal ke darwaze hum pe band na kar
hazar shahr khule honge ajnabi ke liye
jahan mein kaun bacha hai hamare qatl ke baad
jo teri zulf machalti hai barhami ke liye
KHizan ka daur chaman mein naya nahin hai magar
kali kali na tarasti thi tazgi ke liye
har ek samt sarabon ke qafile hain rawan
nazar nazar mein bayaban hai aadmi ke liye
jigar ke dagh chhupae kabhi jo hum ne 'KHalil'
andhere dil mein utar aae raushni ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.