wo ek nazar mein mujhe pahchan gaya hai
vo ek nazar meñ mujhe pahchān gayā hai
jo biitī hai dil par mire sab jaan gayā hai
rahne lagā dil us ke tasavvur se gurezāñ
vahshī hai magar merā kahā maan gayā hai
thā saath nibhāne kā yaqīñ us kī nazar meñ
mahfil se mirī uTh ke jo anjān gayā hai
auroñ par asar kyā huā us hosh-rubā kā
bas itnī ḳhabar hai mirā īmān gayā hai
chehre pe mire dard kī parchhā.īñ jo dekhī
bedard mire ghar se pareshān gayā hai
is bhiiḌ meñ 'sarvat' nazar aane lagī tanhā
kis kūche meñ terā dil-e-nādān gayā hai
wo ek nazar mein mujhe pahchan gaya hai
jo biti hai dil par mere sab jaan gaya hai
rahne laga dil us ke tasawwur se gurezan
wahshi hai magar mera kaha man gaya hai
tha sath nibhane ka yaqin us ki nazar mein
mahfil se meri uTh ke jo anjaan gaya hai
auron par asar kya hua us hosh-ruba ka
bas itni KHabar hai mera iman gaya hai
chehre pe mere dard ki parchhain jo dekhi
bedard mere ghar se pareshan gaya hai
is bhiD mein 'sarwat' nazar aane lagi tanha
kis kuche mein tera dil-e-nadan gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.