wo ek rup tha mera jo tumne dekha tha
vo ek ruup thā merā jo tum ne dekhā thā
maiñ tah-ba-tah thā ba-juz tah ke darmiyāñ kyā thā
maiñ dasht-e-bul-havasī meñ jahāñ girā thak kar
vahāñ se duur bahut duur merā saayā thā
nichoḌ lo mujhe paikar jo dekhnā ho mirā
maiñ qatra qatra thā us dam bhī jabki dariyā thā
maiñ āftāb liye sar pe jis ghaḌī pahuñchā
tamām hashr ke maidān meñ añdherā thā
mire ye ghar meñ kahāñ aa ke kho gayā sahrā
maiñ jab chalā thā mire saath saath sahrā thā
lahū lahū thā ham ahl-e-qalam kā dil yuuñ to
hamāre zehn kā har ghaav dil se gahrā thā
wo ek rup tha mera jo tum ne dekha tha
main tah-ba-tah tha ba-juz tah ke darmiyan kya tha
main dasht-e-bul-hawasi mein jahan gira thak kar
wahan se dur bahut dur mera saya tha
nichoD lo mujhe paikar jo dekhna ho mera
main qatra qatra tha us dam bhi jabki dariya tha
main aaftab liye sar pe jis ghaDi pahuncha
tamam hashr ke maidan mein andhera tha
mere ye ghar mein kahan aa ke kho gaya sahra
main jab chala tha mere sath sath sahra tha
lahu lahu tha hum ahl-e-qalam ka dil yun to
hamare zehn ka har ghaw dil se gahra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.