wo ek shaKHs ki bais mere zawal ka tha
vo ek shaḳhs ki baa.is mire zavāl kā thā
zamīñ se miltā huā rañg us ke jaal kā thā
dil o nigāh meñ jhagḌā bhī munfarid thā magar
jo faisla huā vo bhī baḌe kamāl kā thā
maiñ jaan dene kā da.avā vahāñ pe kyā kartā
jo mas.ala use darpesh thā misāl kā thā
maiñ chāhtā thā ki vo ḳhud-baḳhud samajh jaa.e
taqāzā us kī taraf se magar savāl kā thā
ye aur baat ki baazī isī ke haath rahī
vagarna farq to le de ke ek chaal kā thā
tamām umr gañvā dī jise bhulāne meñ
vo nisf maazī kā qissa thā nisf haal kā thā
maiñ pahle zaḳhm pe chauñkā thā dard se lekin
phir us ke ba.ad kise hosh indimāl kā thā
wo ek shaKHs ki bais mere zawal ka tha
zamin se milta hua rang us ke jal ka tha
dil o nigah mein jhagDa bhi munfarid tha magar
jo faisla hua wo bhi baDe kamal ka tha
main jaan dene ka dawa wahan pe kya karta
jo masala use darpesh tha misal ka tha
main chahta tha ki wo KHud-baKHud samajh jae
taqaza us ki taraf se magar sawal ka tha
ye aur baat ki bazi isi ke hath rahi
wagarna farq to le de ke ek chaal ka tha
tamam umr ganwa di jise bhulane mein
wo nisf mazi ka qissa tha nisf haal ka tha
main pahle zaKHm pe chaunka tha dard se lekin
phir us ke baad kise hosh indimal ka tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 361)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.